My initial Past Life Memories

May 21, 2020

awakeninglove

All my childhood was filled up with mystical experiences and there was a time when I was going through some auto past life regressions. At that time I had no clue what I was experiencing but yes I had made the notes of it in very rough and immaturish Hindi .

I will share them here exactly as I wrote them years ago word to word. I Hope you will find it interesting.

 

1.  Kisi ko kheench kar wahan tannga hai. Mat pucho main kaun ho. Koi aurat hu jiska seena fata ja rha hai. Wo use maar dalenge. Theek usi waqt jb wo marne wala tha. Maine use kahte hue suna- hey pita inhe maf krna ye nhi jante ye kya kr rhe hai. Uski awaz ne mujhse sb kuch cheen liya. Ek pal me maine arjit kiya sb gava diya. Akrosh aur dukh ka rog us raat barish me bah gya.. keelon ke thokne ki awaj…usne Kuch aur bhi kaha par kisi ne nhi suna…

 

 

2. Aur ab mujhe atanki ban jana hai. 15 saal ki umar, patla-dubla sharir. Usne mujhe kaha-tahkhane me jao. Upar walo store kholo..sari cheeje 4 second me dekho. Aur store band krke mujhe ek-ek cheej k baare me batao. Agar ek b cheej galat hui to mujhe goli mar dega. Aur mujhe jeena tha.. Ye kaam pura krna tha..theek 4 second me. Gahan dhyan ki atank-shala

Aur maine pura dhyan kendrit kiya. Par ma ka chehra samne agaya. 4 second kam pad gaye. Mujhe goli nhi maari gyi. Gulam bna kr bech diya gya. Samudri jahaj ko 200 log patwaro se chalate. Unme se main ek tha. Jahaj duba. Sb tair nikle. Gulam janjeero se jakde the. Maine janjeer todne ki badi koshish ki. Par doob gaya..

Param atma jaisi koi cheej hai. Suna Maine “agli bar dabav nhi prem ka chunav karna. Dhyan to Prem me hi khilega”. Bahut tez roshni aur koi hai.

 

 

3. Wo mujhe antriksh-vigyan padhate. Main udna chahti thi. 10 varsh ayu aur wo takriban 50. Usne gamle me phool ugaya aur kha. Ek din tum udogi.uske fate joote dekh k main roti. Main udna nhi chahti. Agar tum meri beti hoti to tumhe kbi alvida na kahta. Agar main apki beti hoti to alvida kahna hi na padta. Taare asman me the aur wo taaro me jana chahta tha. Chala gya…ab mila. Pilot! Abhi bhi bahut umar ka gap hai. Pita saman hai. Kabhi nhi bataungi. Let’s have new experience this time. I want to wait and watch the universe unfolding.

 

4. Japan ka ek pahadi ganv. Main phoolo ke rang se nakhun rangti thi.jo meri dadi ne mujhe sikhaya tha. Ma-baap mar chuke the. Ek din dadi b mar gyi. Ayu-7 varsh. Pracheen samurai vanshaj mujhe agwa kr le gye. 18 varsh tak unhone mujhe vidyut ki gati se b teevr yodha bna dala. Ek british ne meri ankho me vish dal k andha kr diya. Meri gati doguni ho gyi. Andhi samurai kahlayi. Atm-smman k liye atm-hatya ki.

 

Baki aise 78 aur notes Hain.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *